
raat eik mehfil meiN
June 7, 2009Ghazal: bohat chup ho shikaayat chhoR di kya?
June 1, 2009
Liaquat Ali Asim sahib ki eik khoobsoorat ghazal:
bohat chup ho shikaayat chhoR di kya?
rah-o-rasm-e-mohabbat chhoR di kya?
yeh kya andar hi andar bujh rahay ho
havaaoN se raqaabat chhoR di kya?
manaatay phir rahay ho har kisi ko
khafa rehnay ki aadat chhoR di kya?
liyay baiThi haiN aaNkheN aansuooN ko
sitaaaroN ki sayaahat chhoR di kiya?
ghubaar-e-shaihr ki kiyuN baiTha hua hai
mire aahu nay vehshat chhoR di kya?
faqeeroN ki taraf aanay lagay phir
numaaish-gaah-e-shohrat chhooR di kya?
mire kamray ko ma’bad kehnay vaali
kahaaN hai tu ibaadat chhoR di kya?
yeh duniya to naheeN maanay gi Asim
magar tum ne bhi hujjat chhoR di kya?
Noshi Gilani – Ghazal – woh baat baat mein itna
December 19, 2007aaiye haath uThaayeN ham bhi
November 5, 2007Duaa
aaiye haath uThaayeN ham bhi
Faiz Ahmed Faiz
aaiye haath uThaayeN ham bhi
ham jinheN rasm-e-dua yaad naheeN
ham jinheN soz-e-mohabbat ke siva
koii but, koii Khuda yaad naheeN
aaiye arz guzaareN ke nigaar-e-hasti
zaihr-e-imroz meiN sheereeni-e-farda bhar de
voh jinheN taab-garaaN~baari-e-ayyaam naheeN
un ki palkoN pe shab-o-roz ko halka kar de
jin ki aaNkhoN ko rukh-e-subh ka yaara bhi naheeN
un ki raatoN meiN koii shamaa munavvar kar de
jin ke qadamoN ko kisi rah ka sahaara bhi naheeN
un kii nazaroN pe koii raah ujaagar kar de
jinakaa deeN pairavi-e-kazbo-riya hai un ko
himmat-e-kufr mile, jurrat-e-tehqeeq mile
jin ke sar muntazir-e-tegh-e-jafa haiN un ko
dast-e-qaatil ko jhaTak dene ki taufeeq mile
ishq ka sarr-e-nihaaNN jaan tapaaN hai jis se
aaj iqraar kareN aur tapish miT jaaye
harf-e-haq dil meiN khaTakta hai jo kaNTe kii tarah
aaj izahaar kareNn or khalish miT jaaye
mujhe bhi seena~kharaashi ke kaam par rakkha
August 9, 2007mehfil-e-sukhan ke liye Amjad Islam Amjad sahib ka khoobsoorat tohfa
July 6, 2007pakistan ke mumtaaz shaa’ir Amjad Islam Amjad sahib ne kamaal mohabbat aur inaayat se kaam lete hue apni taaza tareen ghazal aur nazm, jo abhi kaheeN shaa’ya naheeN hui haiN, mehfil-e-sukhan ke dostoN ke liye pesh ki hai. ham Amjad Islam Amjad sahib ke tah-e-dil se mamnoon haiN ke unhoN ne itna khoobsoorat kalaam hamaari mehfil ke liye pesh kiya.
ham mehfil-e-sukhan ki har dil azeez saathi Zoya sahiba ke bhi shukr-guzaar haiN ke unhoN ne is mehfil ke liye Amjad sahib ka kalaam record kiya aur hameiN bheja.
to lijiye, Amjad sahib ka kalaam khud un ki apni aavaaz meiN:
Audio clip: Adobe Flash Player (version 9 or above) is required to play this audio clip. Download the latest version here. You also need to have JavaScript enabled in your browser.
bas tiri yaad ke paudoN ko lagaaye rakkheN
June 2, 2007ghazal
Nakhat
kaise har dard ko seene meN chhupaye rakkheN?
aur hoToN pe tabassum ko sajaaye rakkheN
jo the apne voh, zamaana hua, sab chhoR gaye
kab talak bazm ko GhairoN se sajaaye rakkheN
yeh sunaa hai ke vahaaN der hai, aNdher naheeN
to chalo, baihr-e-du’aa, haath uThaaye rakkheN!
jab ye chhaT jaayenge baadal to kiran phooTegi
shama ummeed ki ek ham bhi jalaaye rakkheN
yuN To bhoole se bhi ab yaaN na koii aayega
ehteyatan hi magar ghar ko sajaaye rakkheN
dil meN soii huii chingaari ne karwaT lii hai
ab to is aag se daaman ko bachaaye rakkheN
hoga ‘Nakhat’ se mo’attar yeh chaman bhi ik roz
bas tiri yaad ke paudoN ko lagaaye rakkheN
hijr teraa sitaara joo hay bohat
June 2, 2007ghazal
Saima Ali
raushni meray chaar soo hay bohat
paas shaaed woh maah roo hay bohat
kuch to wehshat hay dil kii aadat bhi
aur kuch tu bhi ru baru hay bohat
aap samjhaiN na kam sukhan ham ko
Aaj kal khud say guftugu hay bohat
jab say daikhaa hay ik nazar uss nay
dil ko jeenay ki aarzoo hay bohat
kis nay daikhaa hay itnii chahat say
zakhm e dil aaj mushk boo hay bohat
doobnaa ho to phir meray dil ko
teri aankhoN ki aab joo hay bohat
raat jangle ki kitni roshan hay
hijr teraa sitaara joo hay bohat
jis shaKhS kay haathauN maiN hunar kuch’h bhii nahiiN hay
June 2, 2007ghazal
Miim Miim Mughal
is baat maiN sab kuch’h hay magar kuch’h bhii nahiiN hay
us samt kau jaataa hooN jidhar kuch’h bhii nahiiN hay
dar-paish hay SaHraa kaa safar soo’ay chaman-zaar
aur is pe’h sitam zaad-e-safar kuch’h bhii nahiiN hay
kis sha’y kay tajas’sus maiN hau tum meHv-e-nazaara’
afLaak kay us paar agar kuch’h bhii nahiiN hay
say’yaarchay tasKheer kiay jaataa hay insaaN..
aur is kii mushaq’qat ka camar kuch’h bhii nahiiN hay
ik Umr maHab’bat kii riyaaZat maiN guzaarii…
ab chaak-e-gariibaaN kay digar kuch’h bhii nahiiN hay
aajaa’ay muyas’sar jau kabhi iLm kaa saagar…….
piyaa say kay Liay Umr-e-KhiZar kuch’h bhii nahiiN hay
dushnaam Traazii hay muGhal~ us kaa vaTiira’h
jis shaKhS kay haathauN maiN hunar kuch’h bhii nahiiN hay
Posted by stanvir 