aaj bazar meiN
June 7, 2009Ghazal: bohat chup ho shikaayat chhoR di kya?
June 1, 2009
Liaquat Ali Asim sahib ki eik khoobsoorat ghazal:
bohat chup ho shikaayat chhoR di kya?
rah-o-rasm-e-mohabbat chhoR di kya?
yeh kya andar hi andar bujh rahay ho
havaaoN se raqaabat chhoR di kya?
manaatay phir rahay ho har kisi ko
khafa rehnay ki aadat chhoR di kya?
liyay baiThi haiN aaNkheN aansuooN ko
sitaaaroN ki sayaahat chhoR di kiya?
ghubaar-e-shaihr ki kiyuN baiTha hua hai
mire aahu nay vehshat chhoR di kya?
faqeeroN ki taraf aanay lagay phir
numaaish-gaah-e-shohrat chhooR di kya?
mire kamray ko ma’bad kehnay vaali
kahaaN hai tu ibaadat chhoR di kya?
yeh duniya to naheeN maanay gi Asim
magar tum ne bhi hujjat chhoR di kya?
naa-deeda mohabbat ki aakhri nazm – Noshi Gilani sahiba ki nazm
February 10, 2008Noshi Gilani – Ghazal – woh baat baat mein itna
December 19, 2007khooN baha
November 22, 2007khooN baha
(Iftikhar Arif)
apne shaih~savaaroN ko
qatl karne vaaloN se
khooN baha talab karna
vaarisoN pe vaajib tha,
qaatiloN pe vaajib tha
khooN baha ada karna
vaajibaat ki takmeel
munsifoN pe vaajib thi
(musnifoN ki nigraani
qudsioN pe vaajb thi)
vaqt ki adaalat meiN
eik samt masnad thi
ek samt khanjar tha
taaj-e-zar-nigaar ik samt
eik samt lashkar tha
ik taraf thi majboori
ik taraf muqaddar tha
taaife pukaar uTThe
“taaj-o-takht zindabaad!
saaz-o-rakht zindabaad!”
khalq ham se kehti hai, saara maajra likkheN
kis ne kis tarah paaya apna khooN baha, likkheN
chashm-e-nam se sharminda,
ham qalam se sharminda, sochte haiN kiya likkheN
aaiye haath uThaayeN ham bhi
November 5, 2007Duaa
aaiye haath uThaayeN ham bhi
Faiz Ahmed Faiz
aaiye haath uThaayeN ham bhi
ham jinheN rasm-e-dua yaad naheeN
ham jinheN soz-e-mohabbat ke siva
koii but, koii Khuda yaad naheeN
aaiye arz guzaareN ke nigaar-e-hasti
zaihr-e-imroz meiN sheereeni-e-farda bhar de
voh jinheN taab-garaaN~baari-e-ayyaam naheeN
un ki palkoN pe shab-o-roz ko halka kar de
jin ki aaNkhoN ko rukh-e-subh ka yaara bhi naheeN
un ki raatoN meiN koii shamaa munavvar kar de
jin ke qadamoN ko kisi rah ka sahaara bhi naheeN
un kii nazaroN pe koii raah ujaagar kar de
jinakaa deeN pairavi-e-kazbo-riya hai un ko
himmat-e-kufr mile, jurrat-e-tehqeeq mile
jin ke sar muntazir-e-tegh-e-jafa haiN un ko
dast-e-qaatil ko jhaTak dene ki taufeeq mile
ishq ka sarr-e-nihaaNN jaan tapaaN hai jis se
aaj iqraar kareN aur tapish miT jaaye
harf-e-haq dil meiN khaTakta hai jo kaNTe kii tarah
aaj izahaar kareNn or khalish miT jaaye
Posted by stanvir 

