June 1, 2009

Liaquat Ali Asim sahib ki eik khoobsoorat ghazal:
bohat chup ho shikaayat chhoR di kya?
rah-o-rasm-e-mohabbat chhoR di kya?
yeh kya andar hi andar bujh rahay ho
havaaoN se raqaabat chhoR di kya?
manaatay phir rahay ho har kisi ko
khafa rehnay ki aadat chhoR di kya?
liyay baiThi haiN aaNkheN aansuooN ko
sitaaaroN ki sayaahat chhoR di kiya?
ghubaar-e-shaihr ki kiyuN baiTha hua hai
mire aahu nay vehshat chhoR di kya?
faqeeroN ki taraf aanay lagay phir
numaaish-gaah-e-shohrat chhooR di kya?
mire kamray ko ma’bad kehnay vaali
kahaaN hai tu ibaadat chhoR di kya?
yeh duniya to naheeN maanay gi Asim
magar tum ne bhi hujjat chhoR di kya?
No Comments » |
Ghazal, Liaquat Ali Asim | Tagged: Ghazal |
Permalink
Posted by stanvir
June 2, 2007
ghazal
Liaquat Ali Asim
na ab mujh ko sada do thak gaya maiN
tumheeN jaao iraado thak gaya maiN
nahi uThti meri talvaar mujh se
uTho ae shahzaado thak gaya maiN
zara sa saath do Gham ke safar maiN
zara sa muskurado thak gaya maiN
tumhare saath hooN phir bhi akela
rafeeqo raasta do thak gaya maiN
kahaaN tak aek hi tamseel dekhooN
bas ab parda gira do thak gaya maiN
adaalat kya qiyaamat tak chale gi
mujhe jaldi saza do thak gaya maiN
kahaaN aati hai mujh ko neend phir bhi
mira bistar bichha do thak gaya maiN
No Comments » |
Ghazal, Liaquat Ali Asim |
Permalink
Posted by stanvir