Esaa to nahin….
December 20, 2007yaad bhi un ki ham-safar na hu’ii
May 26, 2007yaad bhi un ki ham-safar na hu’ii
aur du’aa BHI TO KAAR-GAR na hu’ii
esey uljhey terey jhameiloN main
zindagi tujh ko bhi khabar na huii
qissa-e-dard jaante the sabhi
be.khabar ! bas tujhe khabar na houi
umr bhar uljhanon ko suljhaaya
do ghari chein sey basar nah houi
khavaahishein to hazaar thiin lekin
aik bhi poori umr bhar na hui
her gharee deep hum jalaatey rahey
per khushi ki kabhi saHar na houi
baat mushoor hey sayaanoN main
May 26, 2007baat mushoor hey sayaanoN main
aashiyaaN baste hain zamaanoN main
jis ke charche the aasmaanoN meiN
ab kahaaN josh voh javaanoN meiN
log kehte haiN saNg-dil jis ko
ab hey wo apne meherbaanoN main
shaa’id eemaan dil meiN jaaga hai
“ik sadaa aarahi hey kaanoN mainâ€
tujh se mansoob mirii KhushiyaaN
tu hi shaamil mire bayaanoN main
Faatimah ab kahan wo mosam hey
phool khilte the gul.sitaanon main
Posted by Fatima