Faiz Ahmad Faiz
aaiye haath uThaayeN ham bhi
Monday, November 5th, 2007Duaa
aaiye haath uThaayeN ham bhi
Faiz Ahmed Faiz
aaiye haath uThaayeN ham bhi
ham jinheN rasm-e-dua yaad naheeN
ham jinheN soz-e-mohabbat ke siva
koii but, koii Khuda yaad naheeN
aaiye arz guzaareN ke nigaar-e-hasti
zaihr-e-imroz meiN sheereeni-e-farda bhar de
voh jinheN taab-garaaN~baari-e-ayyaam naheeN
un ki palkoN pe shab-o-roz ko halka kar de
jin ki aaNkhoN ko rukh-e-subh ka yaara bhi naheeN
un ki raatoN meiN [...]
dast-o-kashkol naheeN, kaasa-e-sar le ke chalo
Monday, June 4th, 2007deeda-e-tar pe vahaaN kaun nazar karta hai
kaasa-e-chashm meiN khooN~naab-e-jigar ke chalo
ab agar jaao paye arz-o-talab un ke huzoor
dast-o-kashkol naheeN, kaasa-e-sar le ke chalo
aaj bazar mein — Faiz Ahmed Faiz
Monday, May 21st, 2007aaj bazar mein — Faiz Ahmed Faiz
chashm-e-nam , jaan-e-shaureedah kaafee naheeN
tohmat-e-i’shq pausheedah kaafee naheeN
aaj baazaar meN paa.bajolaaN chalo
dast afshaaN chalo , mast-o-raqSaaN chalo
khaak bar sar chalo, khooN badaamaaN chalo
raah taktaa hay sab shar-e-jaanaaN chalo
Haakim-e-shahr bhi , majma’-e-’aam bhee
teer-e-ilzaam bhi , saNg-e-dushnaam bhee
SubH-e-naashaad bhi , roz-e-naakaam bhee
in kaa dam.saaz apnay siwaa kon hay
shahr-e-jaanaaN [...]
teen manzar
Thursday, August 31st, 2006Teri ummeed, teraz intezaar jab se hai-Ghazal by Faiz Ahmad Faiz
Tuesday, August 29th, 2006Intezaar
Tuesday, August 29th, 2006Faiz ki ek behtareen nazm haazir hai:
raat yuuN dil meiN tiri - Qi’ta
Monday, August 28th, 2006raat yuuN dil meiN tirii khoii huii yaad aayii
jaise veerane meiN chupke se bahaar aa jaaye
jaise sahraaoN meiN hole se chale baad-e-naseem
jaise biimar ko be-vajah qaraar aa jaaye
Faiz Ahmed Faiz
aaj bazaar mein pa-bajolaaN chalo
Monday, August 28th, 2006aaj baazaar meiN pa-bajolaaN chalo
Faiz Ahmad Fiaz
chashm-e-nam, jaan-e-shoreeda kaafi naheeN
tohmat-e-ishq-e-posheeda kaafi naheeN
aaj baazaar meiN pa-bajolaaN chalo
dast afshaaN chalo, mast-o-raqsaaN chalo
khaak bar~sar chalo, khooN ba~damaaN chalo
raah takta hai sab shaihr-e-janaaN chalo
haakim-e-shaihr bhi, majma’-e-aa’m bhi
teer-e-ilzaam bhi, saNg-e-dushnaam bhi
subh-e-nashaad bhi, roz-e-nakaam bhi
in ka damsaaz apne siva kaun hai
shaihr-e-janaaN meiN ba~safa kaun hai
dast-e-qaatil ke shayaaN raha kaun hai
rakht-e-dil baaNdh lo, dil~figaaro chalo
phir hameeN qatl ho aayeN yaaro, chalo!
Faiz Ahmad Faiz
Friday, August 18th, 2006Faiz Ahmad Faiz: Heart Attack