« khooN baha | Home | Noshi Gilani - Ghazal - woh baat baat mein itna »
Khvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahataa hai
By Fatima | December 7, 2007
Khvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahataa hai
aisii tanhaa_ii ki mar jaane ko jii chaahataa hai
ghar kii vahashat se larazataa huu.N magar jaane kyo.n
shaam hotii hai to ghar jaane ko jii chaahataa hai
Duub jaa_uu.N to ko_ii mauj nishaa.N tak na bataaye
aisii nadii me.n utar jaane ko jii chaahataa hai
kabhii mil jaaye to raste kii thakan jaag pa.De
aisii manzil se guzar jaane ko jii chaahataa hai
vahii paimaa.N jo kabhii jiii ko Khush aayaa thaa bahut
usii paimaa.N se mukar jaane ko jii chaahataa hai
Topics: Iftikhar Arif |
Comments
You must be logged in to post a comment.