aaiye haath uThaayeN ham bhi

Duaa

aaiye haath uThaayeN ham bhi

Faiz Ahmed Faiz

aaiye haath uThaayeN ham bhi
ham jinheN rasm-e-dua yaad naheeN
ham jinheN soz-e-mohabbat ke siva
koii but, koii Khuda yaad naheeN

aaiye arz guzaareN ke nigaar-e-hasti
zaihr-e-imroz meiN sheereeni-e-farda bhar de
voh jinheN taab-garaaN~baari-e-ayyaam naheeN
un ki palkoN pe shab-o-roz ko halka kar de

jin ki aaNkhoN ko rukh-e-subh ka yaara bhi naheeN
un ki raatoN meiN koii shamaa munavvar kar de
jin ke qadamoN ko kisi rah ka sahaara bhi naheeN
un kii nazaroN pe koii raah ujaagar kar de

jinakaa deeN pairavi-e-kazbo-riya hai un ko
himmat-e-kufr mile, jurrat-e-tehqeeq mile
jin ke sar muntazir-e-tegh-e-jafa haiN un ko
dast-e-qaatil ko jhaTak dene ki taufeeq mile

ishq ka sarr-e-nihaaNN jaan tapaaN hai jis se
aaj iqraar kareN aur tapish miT jaaye
harf-e-haq dil meiN khaTakta hai jo kaNTe kii tarah
aaj izahaar kareNn or khalish miT jaaye