« kya hai khaana-kharaab meiN rakkha? | Home | jis shaKhS kay haathauN maiN hunar kuch’h bhii nahiiN hay »
mira bistar bicha do thak gaya maiN
By stanvir | June 2, 2007
ghazal
Liaquat Ali Asim
na ab mujh ko sada do thak gaya maiN
tumheeN jaao iraado thak gaya maiN
nahi uThti meri talvaar mujh se
uTho ae shahzaado thak gaya maiN
zara sa saath do Gham ke safar maiN
zara sa muskurado thak gaya maiN
tumhare saath hooN phir bhi akela
rafeeqo raasta do thak gaya maiN
kahaaN tak aek hi tamseel dekhooN
bas ab parda gira do thak gaya maiN
adaalat kya qiyaamat tak chale gi
mujhe jaldi saza do thak gaya maiN
kahaaN aati hai mujh ko neend phir bhi
mira bistar bichha do thak gaya maiN
Topics: Ghazal, Liaquat Ali Asim, Shaa'iri, Urdu |
Comments
You must be logged in to post a comment.