« mira bistar bicha do thak gaya maiN | Home | hijr teraa sitaara joo hay bohat »
jis shaKhS kay haathauN maiN hunar kuch’h bhii nahiiN hay
By stanvir | June 2, 2007
ghazal
Miim Miim Mughal
is baat maiN sab kuch’h hay magar kuch’h bhii nahiiN hay
us samt kau jaataa hooN jidhar kuch’h bhii nahiiN hay
dar-paish hay SaHraa kaa safar soo’ay chaman-zaar
aur is pe’h sitam zaad-e-safar kuch’h bhii nahiiN hay
kis sha’y kay tajas’sus maiN hau tum meHv-e-nazaara’
afLaak kay us paar agar kuch’h bhii nahiiN hay
say’yaarchay tasKheer kiay jaataa hay insaaN..
aur is kii mushaq’qat ka camar kuch’h bhii nahiiN hay
ik Umr maHab’bat kii riyaaZat maiN guzaarii…
ab chaak-e-gariibaaN kay digar kuch’h bhii nahiiN hay
aajaa’ay muyas’sar jau kabhi iLm kaa saagar…….
piyaa say kay Liay Umr-e-KhiZar kuch’h bhii nahiiN hay
dushnaam Traazii hay muGhal~ us kaa vaTiira’h
jis shaKhS kay haathauN maiN hunar kuch’h bhii nahiiN hay
Topics: Ghazal, Meem Meem Mughal, Shaa'iri, Urdu |
Comments
You must be logged in to post a comment.