« jis shaKhS kay haathauN maiN hunar kuch’h bhii nahiiN hay | Home | bas tiri yaad ke paudoN ko lagaaye rakkheN »

hijr teraa sitaara joo hay bohat

By stanvir | June 2, 2007

ghazal
Saima Ali

raushni meray chaar soo hay bohat
paas shaaed woh maah roo hay bohat

kuch to wehshat hay dil kii aadat bhi
aur kuch tu bhi ru baru hay bohat

aap samjhaiN na kam sukhan ham ko
Aaj kal khud say guftugu hay bohat

jab say daikhaa hay ik nazar uss nay
dil ko jeenay ki aarzoo hay bohat

kis nay daikhaa hay itnii chahat say
zakhm e dil aaj mushk boo hay bohat

doobnaa ho to phir meray dil ko
teri aankhoN ki aab joo hay bohat

raat jangle ki kitni roshan hay
hijr teraa sitaara joo hay bohat

Topics: Ghazal, Saima Ali, Shaa'iri, Urdu |

Comments

You must be logged in to post a comment.

Feed

Blogroll

Search