Archive for June, 2007

dast-o-kashkol naheeN, kaasa-e-sar le ke chalo

Monday, June 4th, 2007

deeda-e-tar pe vahaaN kaun nazar karta hai
kaasa-e-chashm meiN khooN~naab-e-jigar ke chalo
ab agar jaao paye arz-o-talab un ke huzoor
dast-o-kashkol naheeN, kaasa-e-sar le ke chalo

Jaun Eliya ke do asha’ar

Saturday, June 2nd, 2007

sab yahi mujh se poochte haiN ke tuu
kyuN sudhhaare nahiN sudhhartaa hai
eliya jaun kuchh nahiN kartaa
sirf khushbuu meN rang bhartaa hai

bas tiri yaad ke paudoN ko lagaaye rakkheN

Saturday, June 2nd, 2007

ghazal
Nakhat
kaise har dard ko seene meN chhupaye rakkheN?
aur hoToN pe tabassum ko sajaaye rakkheN
jo the apne voh, zamaana hua, sab chhoR gaye
kab talak bazm ko GhairoN se sajaaye rakkheN
yeh sunaa hai ke vahaaN der hai, aNdher naheeN
to chalo, baihr-e-du’aa, haath uThaaye rakkheN!
jab ye chhaT jaayenge baadal to kiran phooTegi
shama ummeed ki ek [...]

hijr teraa sitaara joo hay bohat

Saturday, June 2nd, 2007

ghazal
Saima Ali
raushni meray chaar soo hay bohat
paas shaaed woh maah roo hay bohat
kuch to wehshat hay dil kii aadat bhi
aur kuch tu bhi ru baru hay bohat
aap samjhaiN na kam sukhan ham ko
Aaj kal khud say guftugu hay bohat
jab say daikhaa hay ik nazar uss nay
dil ko jeenay ki aarzoo hay bohat
kis nay daikhaa hay [...]

jis shaKhS kay haathauN maiN hunar kuch’h bhii nahiiN hay

Saturday, June 2nd, 2007

ghazal
Miim Miim Mughal
is baat maiN sab kuch’h hay magar kuch’h bhii nahiiN hay
us samt kau jaataa hooN jidhar kuch’h bhii nahiiN hay
dar-paish hay SaHraa kaa safar soo’ay chaman-zaar
aur is pe’h sitam zaad-e-safar kuch’h bhii nahiiN hay
kis sha’y kay tajas’sus maiN hau tum meHv-e-nazaara’
afLaak kay us paar agar kuch’h bhii nahiiN hay
say’yaarchay tasKheer kiay jaataa hay [...]

mira bistar bicha do thak gaya maiN

Saturday, June 2nd, 2007

ghazal
Liaquat Ali Asim
na ab mujh ko sada do thak gaya maiN
tumheeN jaao iraado thak gaya maiN
nahi uThti meri talvaar mujh se
uTho ae shahzaado thak gaya maiN
zara sa saath do Gham ke safar maiN
zara sa muskurado thak gaya maiN
tumhare saath hooN phir bhi akela
rafeeqo raasta do thak gaya maiN
kahaaN tak aek hi tamseel dekhooN
bas ab parda [...]

Feed