« waiting with bated breath | Home | ghar vaapis jab aao ge tum »
aaj bazar mein — Faiz Ahmed Faiz
By stanvir | May 21, 2007
aaj bazar mein — Faiz Ahmed Faiz
chashm-e-nam , jaan-e-shaureedah kaafee naheeN
tohmat-e-i’shq pausheedah kaafee naheeN
aaj baazaar meN paa.bajolaaN chalo
dast afshaaN chalo , mast-o-raqSaaN chalo
khaak bar sar chalo, khooN badaamaaN chalo
raah taktaa hay sab shar-e-jaanaaN chalo
Haakim-e-shahr bhi , majma’-e-’aam bhee
teer-e-ilzaam bhi , saNg-e-dushnaam bhee
SubH-e-naashaad bhi , roz-e-naakaam bhee
in kaa dam.saaz apnay siwaa kon hay
shahr-e-jaanaaN meN ab baaSafaa kon hay
dast-e-qaatil ke shaayaaN rahaa kon hay
rakht-e-dil baaNdh lo dil figaaro chalo
Phir hameeN qatl ho aa.eN yaaro chalo
Topics: Civil Rights, Faiz Ahmad Faiz, Liberty, Nazm, Pakistan, Urdu |
Comments
You must be logged in to post a comment.