Archive for March, 2007

« Previous Entries

hoNToN se voh lafz kaho jo kaajal kehta hai

Friday, March 30th, 2007

aaNkhoN meiN jo khvaab haiN un ko baateN karne do
hoNToN se voh lafz kaho jo kaajal kehta hai

ham apne aap se bichhRe to phir kahaaN hoN ge

Friday, March 16th, 2007

udaas dil ka Thikaana kisi ko kya maa’loom
ham apne aap se bichhRe to phir kahaaN hoN ge

valah kahaaN aap, kahaaN aap ki tasveer

Thursday, March 15th, 2007

go husn naheeN is meiN bhi kam aap ka lekin
valah kahaaN aap, kahaaN aap ki tasveer

vafa ke shaihr ka rasta ajeeb tha kitna

Wednesday, March 14th, 2007

qadam qadam pe jama tha musaafiroN ka lahoo
vafa ke shaihr ka rasta ajeeb tha kitna

nikli baroon-e-shaihr to baarish ne aa liya

Tuesday, March 13th, 2007

kaaghaz ke phool sar par saja kar chali hayaat
nikli baroon-e-shaihr to baarish ne aa liya

zakm khaaooN ga to kuchh aur nikhar jaooN ga

Monday, March 12th, 2007

chaara-saazoN se alag hai mira mey’aar ke maiN
zakm khaaooN ga to kuchh aur nikhar jaooN ga

husn ke sho’bde ik khvaab-e-gurezaaN nikle

Sunday, March 11th, 2007

phir vohi ham, vohi be-raunaqi-e-deeda-o-dil
husn ke sho’bde ik khvaab-e-gurezaaN nikle

dil-e-beemar k pehchaan lena

Saturday, March 10th, 2007

hujoom-e-be~karaaN ho ga magar tum
dil-e-beemar ko pehchaan lena

mujhe tab va’aqaii tum se mohabbat thi

Friday, March 9th, 2007

mujhe tab va’aqaii tum se mohabbat thi:

mere voh khat bhi tumhaare naam haiN

Thursday, March 8th, 2007

jo likhe jaate rahe auroN ke naam
mere voh khat bhi tumhaare naam haiN

« Previous Entries
Feed