
aaj baazaar meiN pa-bajolaaN chalo
Faiz Ahmad Fiaz
chashm-e-nam, jaan-e-shoreeda kaafi naheeN
tohmat-e-ishq-e-posheeda kaafi naheeN
aaj baazaar meiN pa-bajolaaN chalo
dast afshaaN chalo, mast-o-raqsaaN chalo
khaak bar~sar chalo, khooN ba~damaaN chalo
raah takta hai sab shaihr-e-janaaN chalo
haakim-e-shaihr bhi, majma’-e-aa’m bhi
teer-e-ilzaam bhi, saNg-e-dushnaam bhi
subh-e-nashaad bhi, roz-e-nakaam bhi
in ka damsaaz apne siva kaun hai
shaihr-e-janaaN meiN ba~safa kaun hai
dast-e-qaatil ke shayaaN raha kaun hai
rakht-e-dil baaNdh lo, dil~figaaro chalo
phir hameeN qatl ho aayeN yaaro, chalo!