mire va’adoN ko gin_naa chhoR do tum
muhabbat ko parakhnaa chhoR do tumÂÂ
Q
ye daava-e-vafaa kis kaam ka hai?
miri jaaN! aise ban_naa chhoR do tum
aur us par poochhti ho “kyaa hua hai?”ÂÂ
aray! ghairoN se milnaa chhoR do tum
–
vahaaN par dostii hai naam hii kii
vahaaN kaa aanaa-jaanaa chhoR do tum
bichhaRne ki jo dil meiN Thaan lii hai
bahaane par bahaanaaa, chhoR do tum
hamaaraa rishta ik ummeed par thaa
magar ab vo fasaanaa chhoR do tum
tumheiN ma’aloom hai anjaam-e-ulfat
vafaa ke geet gaanaa chhoR do tum!
agar qismat meiN fitne hi likhe haiN
to har aafat pe ronaa chhoR do tum
ye zauq-e-shaayari to Theek hai par
ghazal ko nazm kahnaa chhoR do tum
Khudaa kaa Khauf mujhko bhi hai yaaro!
mujhe kaafir bulaanaa chhoR do tum
sanamkhaanoN meiN ‘tanhaa’ kuchh nahiiN hai
vahaaN par sar jhukaanaa chhoR do tum
ghazal yahaaN par post karne ka bahut shukriyaa janaab. aap ne aisa kar ke mujhe bahut izzat baKhshii hai.
aadaab,
Amit Malhotra
Amit sahib, izzat ki baat to mere liye hai ke aap ka khoobsoorat kalaam is mehfil ki zeenat ka baais hai.
Shoaib